aankhon men jal rahaa hai kyuun bujhataa nahin dhuuan

aankhon mein jal rahaa hai kyuun bujhataa nahin dhuuan
uThataa to hai ghaTaa saa barasataa nahin dhuaan

chuulhaa nahin jalaaye yaa basti hi jal ga_ii
kuchh roz ho gaye hain ab uThataa nahin dhuaan

aankhon se ponchane se lagaa aanch kaa pataa
yuun cheharaa pher lene se chhupata nahin dhuaan

aankhon se aansuon ke maraasim puraane hain
mehamaan ye ghar men aayen to chubhataa nahin dhuaan

jaise ehasaan utaarataa hai ko_ii

jaise ehasaan utaarataa hai ko_ii

aa_iinaa dekh ke tasallii hu_ii
ham ko is ghar me.n jaanataa hai ko_ii

pak gayaa hai shazar pe phal shayaad
phir se patthar uchhalataa hai ko_ii

phir nazar me.n lahuu ke chhii.nTe hai.n
tum ko shaayad mughaalataa hai ko_ii

der se guu.Njate.n hai.n sannaaTe
jaise ham ko pukaarataa hai ko_ii

mai.n apane ghar me.n hii ajanabii ho gayaa huu.N aa kar

mai.n apane ghar me.n hii ajanabii ho gayaa huu.N aa kar
mujhe yahaa.N dekhakar merii ruuh Dar gaii hai
saham ke sab aarazuue.N kono.n me.n jaa chhupii hai.n
lave.n bujhaa dii hai.napane cheharo.n kii, hasarato.n ne
ki shauq pahachanataa hii nahii.n
muraade.n dahaliiz hii pe sar rakh ke mar gaii hai.n

mai.n kis vatan kii talaash me.n yuu.N chalaa thaa ghar se
ki apane ghar me.n bhii ajanabii ho gayaa huu.N aa kar

nazm ulajhii huii hai siine me.n

nazm ulajhii huii hai siine me.n
misare aTake hue hai.n hoTho.n par
u.Date-phirate hai.n titaliyo.n kii tarah
lafz kaaGaz pe baiThate hii nahii.n
kab se baiThaa huu.N mai.n jaanam
saade kaaGaz pe likhake naam teraa

bas teraa naam hii mukammal hai
isase bahatar bhii nazm kyaa hogii

saa.Ns lenaa bhii kaisii aadat hai

saa.Ns lenaa bhii kaisii aadat hai
jiiye jaanaa bhii kyaa ravaayat hai
koii aahaT nahii.n badan me.n kahii.n
koii saayaa nahii.n hai aa.Nkho.n me.n
paa.Nv behis hai.n, chalate jaate hai.n
ik safar hai jo bahataa rahataa hai
kitane baraso.n se, kitanii sadiyo.n se
jiye jaate hai.n, jiye jaate hai.n

aadate.n bhii ajiib hotii hai.n

vo kaaT ke puraze u.Daa rahaa thaa

vo kaaT ke puraze u.Daa rahaa thaa
havaao.n kaa ruup dikhaa rahaa thaa

kuchh aur bhii ho gayaa numaayaa.N
mai.n apanaa likhaa miTaa rahaa thaa

usii kaa imaan badal gayaa hai
kabhii jo meraa Khudaa rahaa thaa

vo ek din ek ajanabii ko
merii kahaanii sunaa rahaa thaa

vo umr kar rahaa thaa merii
mai.n saal apane ba.Dhaa rahaa thaa

ruke ruke se kadam ruk ke baar baar chale

Song: ruke ruke se kadam ruk ke baar baar chale
Artist: Lata Mangeshkar
Movie: Mausam
Directed By:
Music By: Madan Mohan

ruke ruke se kadam ruk ke baar baar chale (2)
qarar leke tere dar se beqarar chale
ruke ruke se kadam ruk ke baar baar chale
ruke ruke se kadam

subah na ayi kai baar neend se jaage (2)
ki ek raat ki ye zindagi guzaar chale (2)
ruke ruke se kadam

uThaye phir de ke ehasan dil ka sine par (2)
ie tere kadamon pe ye karz bhi utaar chale (2)
qarar leke tere dar se beqarar chale
ruke ruke se kadam ruk ke baar baar chale
ruke ruke se kadam

mujhe chhuu rahii hai.n terii garm saa.Nse.n

Song: mujhe chhuu rahii hai.n terii garm saa.Nse.n
Artist: Mohammad Rafi, Lata Mangeshkar
Movie: Swayamvar
Directed By:
Music By: Rajesh Roshan

rafi: mujhe chhuu rahii hai.n terii garm saa.Nse.n
mere raat aur din mahakane lage hai.n
lata: terii narm saa.Nso.n ne aise chhuaa hai.n
ke mere to paao.n bahakane lage hai.n

rafi: labo.n se agar tum bulaa naa sako to
nigaaho.n se tum naam lekar bulaa lo
lata: tumhaarii nigaahe.n bahut bolatii hai.n
zaraa apanii aa.Nkho.n pe palake giraa do
rafi: mujhe chhuu rahii hai.n terii garm saa.Nse.n
mere raat aur din mahakane lage hai.n

rafi: pataa chal gayaa hai ke ma.nzil kahaa.N hai
chalo dil ke lambe safar pe chale.nge
lata: safar khatm kar de.nge ham to vahii.n par
jahaa.N tak tumhaare kadam le chale.nge
rafi: mujhe chhuu rahii hai.n terii garm saa.Nse.n
mere raat aur din mahakane lage hai.n
lata: terii narm saa.Nso.n ne aise chhuuaa hai.n
ke mere to paao.n bahakane lage hai.n

mere saajan hai.n us paar, mai.n man maar, tuu us paar

Song: mere saajan hai.n us paar, mai.n man maar, tuu us paar
Artist: Sachin Dev Burman
Movie: Bandini
Directed By:
Music By: Sachin Dev Burman

o re maajhii o re maajhii o o mere maajhii
mere saajan hai.n us paar, mai.n man maar, huu.N is paar
o mere maajhii, abakii baar, le chal paar, le chal paar
mere saajan hai.n us paar…

ho man kii kitaab se tuu, meraa naam hii miTaa denaa
gun to na thaa koii bhii, avagun mere bhulaa denaa
mujhako terii bidaa kaa…
mujhako terii bidaa kaa mar ke bhii rahataa i.ntazaar
mere saajan…

mat khel jal jaaegii, kahatii hai aag mere man kii
mat khel…
mat khel jal jaaegii, kahatii hai aag mere man kii
mai.n ba.ndinii piyaa kii chir sa.nginii huu.N saajan kii
meraa khii.nchatii hai aa.Nchal…
meraa khii.nchatii hai aa.Nchal man miit terii har pukaar
mere saajan hai.n us paar
o re maajhii o re maajhii o o mere maajhii
mere saajan hai.n us paar…